Blogger Blog Ko Hackers Se Secure Kaise Rakhe : 10 Easy Tips

Blog or website ko hack hone se kaise bachaye : Internet par aaj kuchh bhi secure nahi hai. Har roj lagbhag 1000 sites hack hote hai. Waise to blogger Google ki service hai jispar security bahut hi jyada hoti hai prantu phir bhi bahut se sites hacker ka shikaar ban jaate hai.

Hacking ka shikaar hum apni khud ki galtiyo ke karan ban jaate hai ya phir iske baare me adhik knowledge nahi hone ki wajah se hoti hai. Mai aapko kuchh tips bataunga jisko aap follow karke apne blog ko safe rakh sakte hai.

blogger blog ko hackers se secure kaise kare blog website hack hone se kaise bachaye

Blogger ki team ne blog me HTTPS ka ek feature add kiya hai jinko ki enable karke aap apne blog ki security ko double kar sakte hai. Is feature ko enable karne ke baad koi bhi aapke blog ke data ko change ya phir chura nahi sakta hai.

Agar aap blogspot extension ka use karte hai aur aapne abhi tak HTTPS ko enable nahi kiya hai to der nahi kijiye aur apne blog ki HTTPS ko enable kijiye. Iske liye aap yah post padhe : Bloggeer blog ki HTTPS ko enable kaise aur kyo kare ?

Blogger Blog Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye ?

Mai aapko kuchh easy sa tips de raha hu jinko ki aap follow karke blog ko safe rakh sakte hai :-

1. Blogger account ka password strong rakhe

Apne blog ko secure rakhne ka sabse pahle steps hai ki apke blogger account ka password strong hona chahiye. Matlab koi bhi hacker password ka guess nahi kar paaye. Bahut se users simple sa password rakhte hai jisko ki hack hona ka jyada chances hai.

Isliye aapka password kisi ke name, addres ya date of birth se nahi hona chahiye. Aise password ka use kare jisko ki koi bhi guess nahi kar sake. Aur apna password regularly 4-6 month par change karte rahe.

2. Blogger account ka E-mail kisi ko nahi bataye

Aapne jis Gmail ki ID se apne blog ko create kiya hai, us E-mail ID ko kisi ko bhi nahi bataye. Agar aapko kisi friends ko apna E-mail dena hai ya phir apne blog par ke visitor ko dena hai to uske liye aap alag se E-mail ID ko create karke de ya phir aapke pass alag se koi email id hai to us email ka use apne friends ya phir apne visitor ko dene me kare.

Blogger ke Contact Us Page me kabhi bhi blogger account ka E-mail ka use nahi kare, kisi other email ka use kare. Apne blogger account ka E-mail ka naam apne blog ka name par kabhi nahi rakhe. Isse hacker aapke E-mail ko guess kar sakta hai.

3. Ek se adhik admin account rakhe

Apne blog ka minimum 2-3 Admin Account rakhe. Iski sankhya 3 se adhik bhi ho skata hai. 2-3 Admin account rakhne ka reason yah hai ki agar hacker aapke blog ko hack karke aapke account ke sabhi detail ko change kar deta hai to is condition me aap apne blog ko other admin account se control karke protect kar sakte hai.

Aapko yah bhi jaan lena jaruri hai ki yah technique jitna helpful hai utna dangerous bhi, isliye aisa karne se pahle achchhi tarah se soch le kyoki 1 se adhik admin account rahne par hacker ko ek se adhik routes mil jaayega. Is se bachne ke liye aap apne sabhi Admin account ka username aur password different aur unique rakhe, is se hacker ko aapke blog tak pahuchne me bahut hi difficulty ho jayega aur aapka blog safe rahega.

4. Blogger account me 2-Steps verification ko enable kare

2-Steps verification ko enable karke aap apne blog ki security ko badha sakte hai kyoki koi bhi agar aapke account ka mail aur password jaan bhi jaata hai to bhi wah account ko open nahi kar paayega kyoki 2-steps verification me hota yah hai ki jab bhi aap apne blogger account me login karege to verification ke liye Google ki taraph se mobile number par ek SMS code aata hai.

Login karne me is SMS code ko bhi daalna padta hai. Is code ko daalne ke baad hi account open hota hai. 2-Step Verification ko enable karne me liye ye post padhe : Google Gmail Account me 2-Steps Verification ko enable Kaise kare ?

5. Kisi other person ko admin na banaye

Apne blogger blog par kisi ko bhi admin banana bahut hi dangerous ho sakta hai kyoki jis person ko aap admin banayege unka pura control aapke blog par hoga. Wah chahe to aapke blog ko import, export aur delete kar sakta hai.

Agar aap chahte hai ki ek se adhik person aapke blog par post likhe to unko sirf aap author banaye, Admin nahi. Admin aap usi person ko banaye jispar ki aapko pura vishwaas ho.

6. Blog ka backup regularly le

Apne blog ka regular backup lete rahe kyoki aap ko nahi pata hai ki kab aapka blog hack kar liya jayega. Hacking ke duniya me kuchh bhi secure nahi hai, kuchh bhi hack kiya jaa sakta hai. Apne blog ko secure banane me apna time invest kar sakte hai aur iske liye aap kisi expert se help bhi le sakte hai.

Lekin reality to yah hai ki agar hackers ka group aapke blog ke pichhe pad gaya to samajh jaaye ki aapke blog ko hack karne me kuchh hi hours lagege.

Is situation me aap sabse best tarika yah apna sakte hai ki apne blog ka regular backup lete rahe aur backup lene ka baad yah check kar le ki files ka backed up proper rup se hua hai ki nahi.

Read Also :

7. Crack template ka use nahi kare

Apen blog par crack template ka kabhi bhi use nahi kare. Jis sites par template paise me mil raha hai, usi template ko other sites wala crack karke matlab template me virus daalkar users ko free me de raha hai. Free ke chakkar me bhaut se users us crack template ko download karke pane blog me laga lete hai.

Us crack template me  virus ki file hoti hai jisse hota yah hai ki jab bhi koi users hamare blog par visit karta hai to us users ke browser me automatic virus download ho jaata hai. Isliye kabhi bhi is tarah ka template apne blog me na lagaye.

Read Also :

8. Blogger account ko sign out karna na bhule

Agar aap aise computer ka use karte hai jisko ki other person bhi use karte hai to usme work karne ke baad sign out ya log out karna na bhule. Agar aap net cafe jaakkar computer ka use karte hai to us se bhi saavdhan rahe kyoki us computer me key logger install ho sakta hai jisse ki agar aap kuchh bhi type karenge to wah computer me save ho jaayega.

9. Apne blog ya site ke virus ko check kare

Apne site ke virus ko check kare. Ho sakta hai ki kisi karan aapke site par virus aa gaya ho. Virus check karne ke liye bahut se sites hai jisme se 2 sites ka naam maine niche diya hai. Is virus check karne waale sites par visit karke apne blog ka URL daalkar virus check kare.

  1. https://www.virustotal.com/
  2. https://sitecheck.sucurri.net/

10. Fake site se widget nahi lagaye apne blog par

Apne blog me fake site se widget add nahi kare. Bahut se sites par ke widget me kuchh galat chij add ho sakta hai jiske karan aapke site me kuchh problem aa sakti hai. Agar aisa kuchh hota hai to turant us widget ko check kare aur usko remove kar de.

Read also :

I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. Maine aapko blog ko hackers se secure rakhne ke liye 10 tips bataya. Apnae blog website ko hack hone se kaise bachaye se related kuchh bhi question ho to mujhe comment kare.

Agar yah post aapke liye helpful raha ho to ise social media par share kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Subscribe kare aur mere post ko Like karna na bhule.

Share your love
Himanshu Kumar
Himanshu Kumar

Hellow friends, welcome to my blog NewFeatureBlog. I am Himanshu Kumar, a part time blogger from Bihar, India. Here at NewFeatureBlog I write about Blogging, Social media, WordPress and Making Money Online etc.

2 Comments

  1. Nowdays Hacking of wordpress increased your tips also helpful for news blogger who are jus started blog in wordpress but by using plugins you can also make blog more secured.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *