Blog Ke Har Post Me Meta Search Description ko Enable Kaise Kare - NewFeatureBlog

Blog Ke Har Post Me Meta Search Description ko Enable Kaise Kare






Meta description ek html and xhtml element hai jo ki aapke blog ya site ke sabhi post ke bare me search engine ko batlata hai. Meta Description me post ke bare me small description hota hai. Isme jo kuchh bhi likha jata hai wah search engine me search karne par webpage par show hota hai.

Maine pichhli post me iske bare me vistar se batlaya hai ki  Meta tag kya hai aur ise blog me kaise add kare. Agar post ko social networking site par share kya jaata hai, tab bhi yah small description show hota hai.

blog-ke-har-post-me meta-search-description-ko-enable-kaise-kare

Isse visitors ko aapke post ke baare me turant samajhne me aasani hoti hai. Mere kahne ka matlab yah hua ki we sirf small description ko padhkar samajh jaate hai ki unhe aapke post se kis chij ke baare me jaankari mil sakti hai.





Agar aap small description se hi pure post ke baare me visitor ko samjhane me success rahe to samajh jaaye ki we aapke post ko jarur padhege. Aur isse aapke blog ki traffic badhegi aur aapke blog ya website ki search ranking bhi increase hogi. Isliye search description me post ke baare me small notes likhna bahut jaruri hai.



Search Description ka option har post editor me hota hai. Aap har post ke bare me small notes search description me likh sakte hai. Jab aap new post ko likhne ke liye post editor me jayenge to aapko sabse right side me Search Description ka option mil jaayega.

Prantu agar aapke blog me search description ka option nahi hai to sabse pahle aapko use enable karna padega. Isko har post me enable karne ke liye aap mere steps ko follow kijiye.

 Search Description Ko Enable Kaise Kare ?

Step 1

Sabse pahle aap apne blogger ke dashboard me jaaiye.

Step 2

setting-search-prferences-edit
  1.  Setting par click kijiye.
  2.  Uske baad search preferences par click kijiye.
  3.  Search Preference par click karne ke baad ek page show hoga. Us page me Meta Tags Description ke saamne Edit par click kijiye.

Step 3

Edit par click karne ke baad ek new window open hoga.

150 character me likhe bloh k baatre me

  1.  New window me Yes par tick kijiye.
  2. Phir box me apne blog ke bare me small description likhiye. Description me aapko apne blog ke baare me likhna hai ki aap apne blog par kis-kis chij ki jankari dete hai. Description 150 character se adhik nahi honi chahiye.
  3.  Last me Save Changes par click kijiye.

Ab aapke blog ke har post editor me search description enable ho gaya hoga. Ab sirf aapko har post me search description ko add karna hai.

 Search Description Ko Blog Me Kaise Add Kare ?

write about your post in 150 character

Search Description ko post me add karne ke liye, post editor ko open kijiye. Post editor me sabse right side me search description ka option hoga. Ab search description me aap apni post ke baare me 150 character me likhe. Uske baad Done par click kare.

Agar aapke blog ke post editor ke right side me Search Description ka option nahi hai to ise show karne ke liye ek code ko template me add karna hoga. Code ko template me add karne ke liye mere steps ko follow kare.

Blogger dashboard >> Template >> Edit Template

  1. Blogger dashboard me jaaye.
  2.  Template option par click kare.
  3.  Edit Template par click kare.
  4. Ab ek page open hoja. Usme cursor ko le jakar Ctrl + F key dabakar <head> search kijiye. Niche diye hue code ko copy kar ke <head> ke niche paste kar dijiye.
    <b:if cond=’data:blog.metaDescription != “”‘>
    <meta expr:content=’data:blog.metaDescription’
    name=’description’/>
    </b:if>
  5.  Last me Save Template par click kijiye.

Conclusion :-

Har post me search description ko add karna bahut jaruri hai. Isse search engine ko aapka post search karne me aasani hogi aur yadi aap search description me adhik search me aane wale keywords ka use karte hai to ho sakta hai ki aapka post search me sabse pahle aa jaaye.





Isliye post me search description add karna bahut jaruri hai.



Ummid hai ki aapko yah post pasand aaya hoga. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Subscribe kare. Blogging se related kuchh bhi problem ho to mujhe comment kare.

Agar aapko mere post se kuchh bhi jaankari mili ho to please is post ko Share aur Like kare.

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *