Blog Kya Hai Aur Isko Kaise Banaye Paisa Kamane Ke Liye - NewFeatureBlog

Blog Kya Hai Aur Isko Kaise Banaye Paisa Kamane Ke Liye



Blog ek free hosting seva hai Jo ki google ki hi ek service hai. Iski madad se aap jab tak chahe tab tak domain name aur hosting seva free me milegi. Matlab jab tak aap free domain ka  use karege tab tak domain name ke saath “blogspot.com” laga  rahega.

Jab aap domain name ka use buy karke karege tab domain name se blogspot remove ho jayega aur uske baad aapka blog puri tarah se website me convert ho jayega. Mai is chig ko ek example dekar samjhata hu.

Example :- Maan lete hai ki aap free me domain name ka use kar rahe  hai aur aapne blog Ka name Choose kya hai “Amazon”, tab aapke blog Ka URL address hoga “Amazon.blogspot.com”. Agar aap domain name buy karke use karte hai to aapke blog Ka URL hoga “www.amazon.com”



Ab hum baat karte hai free hosting Ka. Free hosting seva me aap blog ka 1 post 1 MB se jada nahi likh sakte hai . Isme space Ka limitation hota hai. Prantu paid hosting me aapko jyada space post likhne ko milega.

Blog-kya-hai-aur-isko-kaise-banaye-paisa-kamane-ke-liye

Blog Ka Uses Kya Hai ?

Dosto, Amitabh bachchan, Aamir khan jaise filmi sitare aur Americi rastrapati Barak Obama tak sabhi blog likhne ke shaukeen hai. Iske alawa sabhi website aur newspapers ke bhi apne apne blogs hai, jaha par log apne vicharo (Ideas) rakhte hai.

Blog ek jariya hai apne vichar, apni baat , apne emotions dusro tak pahuchane Ka. Aapke dost use padhkar us par apne comment bhi likh sakte hai. Aur aap us comment ka jabab bhi de sakte hai.

Simple sabdo me aap blog ko ek dairy or online dairy maan sakte hai aur usme har roj ke likhe hue baato ko aap ‘post’ maan sakte hai. Blog ko aap aisee dairy maan sakte hai jisme likhe hue aapke baato ko duniya ka har aadmi online internet ke dawara padh sakta hai.


Blog likhne waalo Ki sankhya badhti jaa rahi hai. Blog me post ko likhne waale ko Blogger kahte hai. Blogger ab blog me photo aur video ko bhi daal sakte hai. Blog ek mini website ki tarah hai , jiske domain name ko maintain karne ke liye paise bhi nahi chukane parte hai.

Ulte aap blog se earning bhi kar sakte hai. Google AdSense ek suvidha deta hai, jisse aap apne blog par uske vigyapan (advertisement) laga sakte hai. Aur aapko advertisement ke har click par uska kimat milta hai.

Blog Ki Shruwat Sabse Pahle Kisne Ki ?

Blogspot ki shruwaat sabse pahle 1999 me ek hosting tool ke rup me Payara Laibs ne kiya tha. 2003 me ise Google ne kharid liya aur tabhi se yah Internet par sabse famous free hosting website bani hue hai.

Heme lagta hai ki ab aap samajh gaye hoge ki blog kya hai Agar nahi samajhe hai to comment karke puchh sakte hai. Ab  hum jaante hai ki free me blog kaise banaye.


Blog Banane Ke Liye Kya-Kya Chije Honi Chahiye ?

Aapko website banane ke liye :-

  1. Gmail Account
  2. Computer/Laptop

ki jarurat padegi.

Note :- Yadi aapke pass computer nahi hai to aap mobile ke dawara bhi Website/Blog bana sakte hai parantu mobile achchhi quality Ka hona chahiye. Sabhi mobile me yah support nahi karta hai.
Free Me Blog kaise Banaye ?

Website/Blog banane ke liye aap mere steps ko achchhi tarah se follow kare :-

Step 1

Sabse pahle aap blogger.com par click kijiye ya phir Google me www.blogger.com likh kar search kijiye .

Step 2

Uske baad aap apna gmail Id aur password daalkar sign in ki button par click kijiye .

Agar aapke pass gmail Account nahi hai to sabse pahle aap apna gmail Account bana lijiye . Gmail Account banane ke liye niche diye hue link par click kijiye.

enter-email-password



Step 3

Sign in ki button par click karne ke baad ek new page open hoga , jaisa ki niche picture me dikhaya gaya hai. Us page me New Blog ki button par click kijiye.

click-on-new-blog

Step 4


New Blog ki button par click karne ke baad ek new page open hoga . New page me aapko Title , Address ko fillip karke template ko choose karna hai aur last me create blog ki button par click karna hai .

enter-blog-title-and-address-and-create-blog

New page me aapko kya-kya bharna hai mai aapko detail me batlata hu.

  1. Title : Title me aapko apna blog ka naam likhe. Jaise ki mere blog ka naam New Feature Blog hai.
  2. Address : Address me aapko aisa naam likhna hai ki is address se kisi ne bhi blog nahi banaya ho. Agar is address se kisi ne bhi blog nahi banaya hoga to address me wah naam Accept kar lega aur address ke niche show karega “This blog address is available“.
  3. Template : Niche diye hue template me jo bhi Template aapko pasand ho unhe aap select kare. Mai aapko suggest karuga ki dynamic views template Ko chhor Kar koi bhi template choose kare .
  4. Create Blog ! :  Last me aap create blog ki button par click Kare .

Cogratulation ! aapka website bankar ready ho gaya.

Note :-  Abhi jo aapne blog banaya hai, blog ke URL me blogspot laga hua rahega. Agar aapko apna blog ko Google me search karna hoga to aapko “Xyz.blogspot.com” likhkar search karna hoga. Aap baad me blogspot.com ko remove karke apne blog ko puri tarah se website me convert kar sakte hai.





Agar aapko blog create karne me kahi bhi problem aati hai to aap mujhe comment kar ke puchh sakte hai.

Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe subscribe kare.

Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise facebook, twitter, google + par share kare.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *