Blogger Post Me Dusri Post Ka Link Add Kaise Kare - NewFeatureBlog

Blogger Post Me Dusri Post Ka Link Add Kaise Kare



Aaj mai aapko blogger post me link ko add karne ke baare me batane ja raha hu. Sabhi blogger apne blog post me link ko add karte hai. Yah SEO ke liye bahut hi jaruri hai. aap mere hi is post me link ko dekh sakte hai.

Yah link words and phrases me ho sakta hai jis par click karne ke baad usme jis post ka link hoga, wah post new window ya new tab me open hoga.

how-add-links-in-blogger-posts

Apne blog post me khud ke site ke jitne bhi other post link (URL) ko add kiya jata hai us link ko internal link kaha jata hai. Aap apne blog post me kisi dusre ke site ka post link ko bhi add kar sakte hai jisko ki external link kaha jata hai.




Mai internal link and external link ka discussion next post me vistar se karunga. Is post me mai aapko sirf blogger post me link ko add karne ke baare me bataunga.



Blogger Post Me Other Post Ka Link Kyo Add Kare ?


Apne blog ke sabhi post me dusri post ka link ko add karne se visitor ko dusra post ko bhi padhne ka mauka milta hai. Ho sakta hai humne jis post ka link add kiya hai, us post ki jarurat visitor ko ho.

Is se visitor ko apne pasand ka post dudhne me aasani hogi aur isse hamare blog ya site ko bhi profit hoga kyoki hamare site ki bounce rate kam (low) ho jati hai jo ki SEO ki improving ke liye bahut hi achchha hai.

Aap soch rahe hoge ki post me link add karne se bounce rate kam kaise ho jaati hai, to mai aapko batata hu. Dusri post ka link add karne se visitor un add kiye hue post ko bhi padhta hai jis se visitor hamare site par adhik time tak rahata hai.

Matlab hamare blog par visitor jitna adhik time spend karege utna hi site ki bounce rate bhi decrease hogi. Bounce rate low hone se site ki alexa rank me bhi improve hota hai.

Blogger Post Me Link Kaise Add Kare ?


Blogger post me dusri post ka link add karna bahut hi easy hai. Aap mere steps ko follow kare.

Step 1


Sabse pahle apne blogger account me login karke blog ke dashboard par jaye.

Step 2


  1. Agar aap new post me link ko add karna chahte hai to New post par click kare.
  2. Agar publish kiya hua post me link add karna hai to post ke Edit option par click kare.
clic on new post or edit
Step 3
Ab post editor open hoga.
click-on-link-tool
Post me jis place par dusri post ke link ko add karna chahte hai us place par cursor ko le jakar blogger toolbar se link tool par click kare.
Step 4

Link toolbar par click karne ke baad ek popup windows open hogi jisme aapko dusri post ka link add karna hai.
add blogger post link and click ok
  1. Text to display : Isme us post ka title likhe jisko aap is post me add karna chahte hai. Title ko aap short or long me likh sakte hai. Yah title hi aapke is post me show hoga.
  2. To what URL should this link go ? : Isme us post ka link add kare. 
  3. Web address : Agar kisi post ka link add kar rahe hai to is option ke check box me tick kar de.
  4. Email address : Agar post me email add karna hai to email add kar is option ke check box par click kare.
  5. Text this link : Is option par click karke check kar sakte hai ki aap jis link ko add kar rahe hai wah work kar raha hai ki nahi.
  6. Open this link in a new window : Agar aap chahte hai ki aapke post me jis post ka link hai, us par click karne ke baad wah post new windows me open ho to is option ke check box me tick kar de.
  7. Add ‘rel=nofollow’ attribute : Agar post link ko aap  search engine me index nahi karna chahte hai to is option ke check box me tick kar de. Is se us post ka link search engine se hide ho jaayega. Iske bare me adhik jankari ke liye Google ke help pages par visit kare.
  8. Lastly, Ok par click kare.
Step 5

Ab yah link post editor me blue colour me show hoga. Agar aapko link me kuchh changing karni hai to link par click kare. Link par click karne ke baad kuchh option show hoge.
for changing blog post url clik on link and change or reomove
  1. Change par click karke aap post ke title aur link me changing kar sakte hai.
  2. Remove par click karke link ko hata sakte hai.
Friends aapko yah post kaisa laga. Blog ke post me link ko add karne se related kuchh bhi sawal ho to mujhe comment kare. Hamare blog ke new post ko direct apne email inbox me pane ke liye mujhe subscribe kare.
Agar yah post aapko pasand aaya ho to is post ko social media par share kare.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *