Email subscription box ko lagane se pahle mai aapko bata du ki sabse pahle Feedburner Par Account Banakar Feed URL Ko Blog Me Add Karna Padega. Uske baad email subscription widget ko apne blog me lagana hai.
Email subscription box ek pictorial photo hota hai jisme email ko likhne ke liye box ke jaisa ek column bana hota hai aur saath me subscribe button hota hai.
Koi bhi visitor box me apna email daalkar us blog ko subscribe karte hai. Subscribe karne ke baad us visitor ke email par ek message aata hai. Message me activation link hota hai. Link par click karne ke baad us visitor ke email par free email delivery ki service activate ho jaati hai.
- Mobile Phone को Hang होने से कैसे बचाये : 16 Tips
- Mobile Phone की Battery Life कैसे Increase करे : 12 Tips
Ab agar blogger apne blog par jab bhi new post ko publish karega to post ki notification ki jankari un sabhi visitor ke email par mil jaayega jis-jis ne blog ko subscribe kiya hai.
Email subscription box ko blog par lagana bahut hi jaruri hai. Agar aap apne blog par is box ko nahi lagate hai to samajh lijiye ki aap bahut sare visitor ko lose kar rahe hai.
Email subscription box ko laga kar aap older visitor ko phir se apne blog par laa sakte hai. Kyoki agar new visitor aapke blog ko subscribe karte hai to unhe baad me bhi aapke new post ki jankari direct unke email par milti rahegi aur phir we post ko padhne ke liye aapke blog par visit karege.
Isse aapke blog ki pageview badhegi aur saath me traffic bhi badhegi. Isliye email subscription box ko blog par lagana bahut jaruri hai.
Ab mai aapko batana start karta hu ki emai subscription box ko apne blog par kaise lagaya jaata hai bas aap mere steps ko follow kare :-
Step 1
Sabse pahle feedburner ki site par jakar apna email aur password dalkar login kare.
Step 2
Login karne ke baad feedburner account ka homepage open hoga.
Jis blog par aapko email subscription box ko lagana hai us blog ke feed title par click kare.
Step 3
Ab ek new page open hoga.
- Publicize par click kare.
- Email Subscriptions par click kare.
Step 4
Ab next page par 2 code milega.
- Subscription Form Code
- Subscription Link Code
1. Subscription Form Code :- Is code ko blog par lagane ke baad yah aapke blog me ek box ki tarah show hoga jisme koi bhi visitor email dalkar aapke blog ko subscribe kar sakte hai.
Niche mere blog ka subscribe box hai. Usme apna email dalkar check kare ki yah work kaise karta hai. Subscribe karne ke baad aapke email par link aaya, link ko activate karna na bhule.
Enter your email address:
Delivered by FeedBurner
2. Subscription Link Code :- Is code ko blog me lagane ke baad yah aapko box jaisa show nahi hoga. Yah simple plain text jaisa show hoga jisme subscribe karne ke liye link hoga. Is Link par click karke hi koi visitor aapke blog ko subscribe kar sakta hai. Mere blog ko subscription link ko niche dekhiye.
Subscribe to New Feature Blog by Email
Mai baat kar raha tha email subscription box ko apne blog par lagana ka. Iske liye aapko subscription form code ko copy karke apne blog par lagana padega.
Subscription Form Code ko copy kar lijiye.
Ab is code ko aapko apne blog par lagana hai.
Step 1
Blogger account me login karke blog ke dashboard me jaaye.
Step 2
Layout par click kare.
Step 3
Layout par click karne ke baad ek page open hoga.
Blog me jis place par aapko email subscription box ko lagana hai us place ke Add a Gadget par click kare.
Step 4
Ab ek popup page open hoga.
HTML/JavaScript par click kare.
Step 5
Ab ek new page open hoga usme aapko title name likhna hai aur code ko content box me paste karna hai.
- Title name likhe. Jaise ki Subscribe by Email ya Follow by Email etc. Aap chahe to title name nahi bhi de sakte hai.
- Box me subscription code ko paste kar de.
- Save par click kare.
Ab aapke blog me email subscription box add ho gaya hai. Aap chahe to check karke dekh sakte hai.
Email subscription box ko to aapne blog par laga liya hai prantu abhi aapke blog par email subscription ka service activate nahi hua hai. Email subscription service ko activate karne ke liye mai aapko next post me batlaunga.
- 11 Attractive Fast Loading Email Subscription Widget को Blog में Add करे ?
- Follow By Email Gadget को Blog में कैसे Add करे ?
I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. Email subscribe box ko blog me add karne me koi problem aati hai to mujhe comment kare.
New post ki jankari direct apne email par paane ke liye mujhe subscribe kare. Agar aapko mera yah post aaya ho to ise jarur se jarur Facebook, Twitter, Google + etc. jaise social media par share kare.