Sabse pahle mai aapko bata du ki jitne bhi new blogger hai, jinhe blog banaye hue jyada din nahi hue hai, unke liye HTML/JavaScript widget ke baare me jaan lena bahut hi jaruri hai. blog ko create karne ke baad new blogger ko jo problem hoti hai wah yah ki ab blog ka design kaise kiya jaaye.
Kyoki aapke blog ka design attractive hoga tabhi adhik se adhik visitor aapke blog par visit karna pasand karenge. Blog ko design karne me HTML/JavaScript ki bahut hi aham bhumika hai. Jis blogger ko coding nahi bhi aati hai, we is widget ke help se HTML ya JavaScript ke code ko blog me add kar sakte hai.
Aapke paas bas kisi bhi gadget ko blog me lagane ke liye unka HTML ya JavaScript ka code hona chahiye. Kisi bhi gadget ko apne pasand ke place par laga kar blog ko aur attractive bana sakte hai.
Agar blogger me HTML/ JavaScript ka feature nahi hota to aapko template me jaakar ke code ko add karna padta jisme ki thodi si problem hoti hai. Prantu HTML JavaScript me aap code ko aasani se add kar sakte hai. Aap advertising ke ads ko bhi iske help se laga sakte hai.
Step 1
Step 2
Step 3
Step 4
Step 5
- Jis widget ko aap blog me add karna chahte hai uska title de. Agar aap kisi ads ke code ko add kar rahe hai to mai kahunga ki aap title me kuchh bhi nahi likhe, use khali rahne de.
- Jis HTML/JavaScript ke code ko apne blog me add karna chahte hai, yaha par content box me paste kar de.
- Code ko paste karne ke baad Save ki button par click karke save karde.
Ab aap jaan hi gaye hoge ki kisi bhi HTML ya JavaScript code ko blog me kaise add kiya jaata hai. Phir bhi agar koi problem ho to mujhe comment karke bataye.
Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Subscribe kare. Agar yah post aapko pasand aaya ho to ise facebook, twitter etc. jaise social site par share kare.
assslam u aalikum bro m apni webs par home about or other y sirf page k samny rakna ha kasy ho ga y set plz bata doooo
Layout >> header k niche waale section me Add a Gadget par click Kare >> pages >> jis page ko saamne rakhna hai usme tick kare>> save