Aapke blog par jitne bhi post hai unme se jis ka pageview sabse adhik hoga, wah post popular post ke antargat aayega. Aapke blog par jitne bhi post hai, jaruri nahi hai ki visitor un sabhi post ko pasand kare. We apne pasand ke useful aur valuable post ko padhna pasand karte hai.
Jab aap popular post ka widget apne blog me lagayege to wah sabhi useful post jo ki sabse adhik baar visitor ke dwara read kiya gaya hai, wah popular post me show hoga.
Jab koi visitor aapke blog par visit karta hai to unhe wah popular post bhi sidebar me najar aata hai aur we us post ko bhi padhte hai. Is se aapke blog ka pageview increase hota hai.
Sabse best tarika hai ki aap third party ke code ko use na karke offically blogger ki tema ke dwara diya hua gadget ka use kare. Kyoki kisi-kisi third party ke code me unke post ka bhi link add hota hai jiske karan aapke blog ki traffic decrease ho sakti hai.
- Popular post me 7 din pahle, 30 din pahle ya phir pure din ka post jab se aapne apne blog par post likhni shuru ki, ko show kar sakte hai.
- Is widget me aapko post ke title ke saath post ka image show karne ya nahi karne ka option aata hai.
- Isme aap post ke title aur image ke saath post ka kuchh lines bhi show kar sakte hai.
- Is widget me aap maximum 10 popular post ko dikha sakte hai.
Step 1
Step 2
Step 3
Step 4
Step 5
- Widget ka title de apne pasand ka jiase ki “Popular Post”, “Most Popular Post”, “Top Post” etc.
- Isme aapke paas choose karne ke liye three option hai :-
a. Agar aap pure time ka popular post matlab jab se aapne blog par post likhni shuri ki, ko dikhana chahte hai to All time select kare.
b. Pichhle 30 dino ka popular post dikhane ke liye Last 30 days select kare.
c. Pichhle 7 din ka popular post show karne ke liye Last 7 dino ka popular post dikhane ke liye Last 30 days select kare. days select kare. - image thumbnail : Agar aap apne post ke title ke saath image bhi dikhana chahte hai to is option par tick karde.
- snippet : Post ke title ke saath agar starting ka kuchh line bhi dikhana chahte hai to is option par tick kar de
- Widget me aap kitne popular post ko dikhana chahte hai wah select kare.
- Sabhi setting karne ke baad last me Save ki button par click kare.
Aapke blog me popular post ka widget add ho gaya hoga. Ab aap apne blog ko open karke apne saare popular post ko dekh sakte hai.
- Google Account में 2-Step Verification को Enable कैसे करे ?
- Blogger Template को Zip file से XML file में मोबाइल से Convert कर Upload कैसे करे ?
I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. Agar Popular post widget ko blog me lagane me koi problem aati hai to mujhe comment kare.
Is blog ke sabhi new post ki jankari apne email par pane ke liye Subscribe kare. Agar yah post pasand aaya ho to ise facebook, twitter, google plus par share kare.