XML Sitemap Kaise Banaye Blog Ya Website Ke Liye - NewFeatureBlog

XML Sitemap Kaise Banaye Blog Ya Website Ke Liye



Apne blog ya website ke liye sitemap banana bahut hi jaruri hai. Kyoki sitemap me hi aapke blog ya site ka saara content hoga jinko ko aap Google Search Console me submit karke apne blog ki search visibility ko increase kar sakte hai.

Sitemap ko banane ke liye bahut se third party ke sites hai jiske help se aap apne blog ka sitemap create kar sakte hai. Mai jo aapko third party ka sites bataunga uske help se aap maximum 500 pages ka sitemap bana sakte hai.

xml sitemap kaise banaye blog ya website ke liye

Blogger sitemap create hone ke baad aapko apne blog ka sitemap URL milega. Is URL ko aapko Google Search Console (Webmaster Tool) me submit karna hai. Sitemap submit ho jaane ke baad aapke blog ka saara content (post, pages etc.) Google Search Engine me index ho jaayega.





Sitemap ko search console me submit karne ka sabse bada profit hai ki jab aap apne blog par kuchh bhi update ya publish karege to wah automatically search engine me index ho jaayega, baar-baar sitemap banakar submit karne ki koi jarurat nahi padegi.



Sitemap Ko Banana Kyo Jaruri Hai ? 

Sitemap ko aap ek small file kah sakte hai jisme ki aapke blog ya site ka saara content URL ke rup me hota hai. Agar aap sitemap ko create nahi karege to phir kaise aap apne blog ke saare content ko Google Search Engine me index karege. Kyoki Google ki Service google search console me aap apne blog ke saare content ko sitemap ke rup me hi submit kar skate hai.

Bas ek baar aap apne blog ke sitemap ko Google Search Console me submit kar denge to phir uske baad aapke blog par ka saara content Google Search me fastly aane lagega. Waise to aap sitemap ko search engine me submit nahi bhi karte hai to bhi aapka blog search me aayega lekin turnat nahi aayega.

Agar aap apne blog ke liye sitemap banakar Google Search Console me add karte hai to is se Search Engine ko aapke blog par ke saare content ko dudhne me aasani hogi. Sitemap ko submit karke aap google search engine ka kaam easy kar dete hai.

Aur is se hota yah hai ki jab bhi koi user kisi bhi topic ko Google me search karta hai aur wah topic yadi aapke blog par hai to us topic ko search engine turant apne web page par show karta hai. Ab to aap samajh hi gaye hoge ki sitemap ko banana kyo jaruri hai.

Ab mai aage badhta hi aur batana start karta hu ki blogger sitemap kaise create kiya jaata hai.

Blog Ka Sitemap Kaise Banaye ?

Step 1


Sabse pahle aap sitempa ko create karne wali third party ke site www.xml-sitemaps.com par visit kare.

Step 2


Third party ke site par visit karne ke baad ek new windows open hogi.

saari jaankari sahi sahi filupl karke start par click kare

  1. Apne blog ka URL likhe. Jaise ki http://newfeatureblog.blogspot.com ya http://www.newfeatureblog.com
  2. Always select kare.
  3. Isme User server’s response par tick rahne de.
  4. Automatically Calculated Priority ke radio button par click kare.
  5. Lastly, Start button par click kare.

Start button par click karte hi sitemap create hona start ho jaayega. Uske baad ek new window open hogi jisme aapke blog ka sitemap URL hoga.

Aapka sitemap URL kuchh is tarah se hoga :-


http://Your-Blog-Address/sitemap.xml

Aap mera sitemaps ko dekh sakte hai :-

http://www.newfeatureblog.com/sitemap.xml

your sitemap is ready. you can see your blogger sitemap url look like this

Ab aapne successfully sitemap ko create kar liya hai. Sitemap create ho jaane ke baad aapko ise Google Search Console me submit bhi karna hai.






I hope ki aapko yah post pasand aaya hoga. Blogger sitemap ko banane me koi problem aati hai to mujhe comment kare.

Agar aapko mera post pasand aaya ho to ise apne dosto ke saath social media par share kare. Isi tarah ka post padhte rahne ke liye mujhe Subscribe kare.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *