Hellow friends, aaj mai aapko batana ja raha hu ki UC News me apne blog ko kaise add ya submit karte hai. Aapne UC browser ka to naam suna hi hoga. Yah browser sabhi users ke smartphone me hote hi hai. UC browser ka use karne waalo ki sankhiya million me hai.
Jab aap apne phone me UC browser ko open karte hoge to aapne dekha hoga ki front page par headlines me bahut sare news show hota hoga. Us par click karke aap us pure news ke bare me padh sakte hai.
Aapne kabhi socha hai ki UC browser ke UC News me yah sabhi news kaise show karta hai. Agar nahi jante hai to is post se aapko puri jankari mil jayegi.
Website ya blog me jo post hote hai wah hi UC News me show hota hai prantu apne blog ke post ko UC browser ke UC News me show karne ke liye aapko sabse pahle apne blog ko UC News me add ya submit karna padega. Uske baad UC browser ka team aapke site ko review karne ke baad approve karega. Uske baad aapke site ka post UC news me show karne lagega.
- Blog के Sitemap को Google Search Console में Submit कैसे करे ?
- Blogger Sitemap को Yandex Webmaster Tool में Add कैसे करे ?
UC Browser Kya Hai ?
UC browser ek web browser hai. Ise UC mobile ke naam se bhi jana jata hai. UC browser ko 2004 me launch kiya gaya. Pahle yah browser sirf J2ME (Java) ke liye hi available tha prantu ab Android, iOS, Window phone, Black Berry, iPad, iPhone etc. ke liye bhi available hai.
UC browser ke UC news me different type ke language wale post ko update kiya jata hai. Different types ke country me jis language ka use kiya jata hai usi ke language me UC News me post ko update kiya jata hai.
UC News me hindi language wale post ko India me sabse adhik read kiya jata hai. Agar aapke site par ka content hindi me hai to aap apne site ko UC News me submit karke apne site ke pageviews ko increase kar sakte hai.
UC News Me Apne Blog Post Ko Show Karne Ke Fayde :
- UC News ko daily million users padhte hai. Agar aapke site ka post bhi usme show hoga to aapke post ko bhi read kiya jayega jis se aapke site ki rojana pageviews increase karegi.
- Adhik se adhik users ko UC News ke through aapke blog ya site ke bare me pata lagega jisse ki aapke site par aane wale visitor ki sankhya me increasing hogi.
- Site ki Alexa ranking me improvement hogi.
- Aapke site par jo ads hoge wah UC News me bhi show hogi jis se aapki earning me bhi badhotari hogi.
- Sabse pahle mp.ucweb.com site par visit kare.
- Sabse upar right side me Sign up par click kare.
- Apna email address likhe.
- Password enter kare.
- Phir se wahi password enter kare.
- Switch ko left se right side ki taraph slide kare aur verification code enter kar verify kare.
- I have read and accept Terms and Condition ke check box me tick kare.
- Continue par click kare.
- Ab ek new tab me aapka Email account open hoga. Usme verification ko complete karne ke liye ek mail aaya hoga.
- Mail me verification ka ek link hoga us par click kare.
- Personal : Agar aap ek professional blogger hai aur apne blog par sirf aap apne hi thoughts ko share karte hai to personal select kare.
- Organization : Yadi apke blog ya site par multiple author content ko likhte hai aur aapke site ko groups ya companies handle karti hai to organization option ko select kare.
- Upload New par clcik karke apna profile image ya blog ka logo upload kare.
- Apna name ya blog ka name likhe.
- Aap apne blog pa kis type ke information ko share karte hai, uski category ko select kare.
- Account ke operator ka name likhe.
- PAN Card Number enter kare. [It is necessary]
- Country code select kare.
- Mobile number likhe.
- Apne website ya RSS Feed ka URL Address likhe.
- Service Tax Number ka option utna necessary nahi hai. Agar yah number nahi hai to is option ko khali rahne de.
- I have read and accepted UC News WebMedia Authorization Agreement ke check box me tick kare.
- Continue par click kare.
- Yandex Mail पर Email Account कैसे बनाये Free में ?
- Blogger Images को SEO Friendly कैसे बनाये : Image Optimization Tips
Thank you for reading…..
bahut aacha post likhe ho bro,thnx waise kya sabhi blog ke post publish ho jate hai.aapki huwi hai.
Best post
Sir uc news me blog kitne dino me approval ho jata hai. Vaise to 24 ghante ka time diya tha mgar av tk nhi hua hai plz iske bare me kuchh bataye.
approval hone me maiximum 3-days lag sakte hai
Nice
Mast hai